Tuesday 11 September 2012

Suno!tum laut aao na!

Suno!tum laut aao na!
tumhain he sochti aankhen,
tumhain he dhondti aankhen,
tumhain wapis bulati hain,

Suno tum laut aao na!

yeh DIL jb bhi dharkta hai,
tumhara naam leta hai,
yeh aansoo jb bhi behtay hain,
tumharay dukh mein behtay hain,
k barish jb bhi hoti hai,
tumhain he yaad karti hai,
khushi koi jo aye too,
tumharay bin adhoori hai,


jiya nahi jaata tumhare bina
Aao na...
suno Tum laut aao na!!