laut jata hu vapas har roz ghar ki taraf thaka hara
Aaaj tak samaj me nahi aaya ke kaam karne ke liye jita hu
ya jine ke liya kaam karta hu
Bachpan me sabse adhik baar pucha gaya sawal tha ke
bade hoke kya banna hai
Jawab ab mila, phir se bachcha banna hai
thak gaya hu zindgi teri naukari se
munaseeb hoga mera hisaab kar de
dosto se bichhadkar ye haqikat khuli
Beshak kaminey the, par ronak unhise thi
Bhari jeb se duniya ki pehchan karwayi
aur khali jeb se apno ki
Jab lage paisa kamane to samaj aaya ke
shauk to maa-baap ke paiso se poore hote the
apne paiso se to bas jarooratein hi poori ho paati hai
Hasne ki ichchca na ho to bhi hasna padta hai
Koi jab puchhe- kaise ho- majeme hu- kehna padta hai
yeh zindgi ka rangmanch hai dosto, yaha sabko naatak karna padta hai
maachis ki jarrorat nahi padti, yaha aadmi aadmi se jalta hai
Duiniya ke scientists dhundh rahe ke Mangal Grah pe jeewan hai ya nahi
par aadmi ye nahi dhundh raha ke jeewan me mangal hai ya nahi
mandir me phool chadhane aaye to ye ehsaas hua
ke paththar ko manane me phoolo ka qatal kar aaye hum
Gaye the gunaho ki maafi maangne, vaha ek aur gunah kar aaye hum
Nind aur Maut me kya farq hai...
Kisine kya khobbsurat jawab diya hai
Nind aadhi maut hai aur Maut mukammal nind hai
Zindgi to apne hi tarike se chalti hai
auro ke sahare to jhanaze utha karte hai
Subeh hoti hai, sham hoti hai, Umra yu hi tamaam hoti hai
Koi rokar dil behlata hai, koi haskar dard chhupata hai
Kya karaamat hai kudrat ki
Zinda insaan pani me doobta hai aur murda tairke dikhta hai
Bas ye conductor si ho gayi hai zindgi
Safar bhi roz ka hai aur jana bhi kahi nahi
Safalata ke saat bhed mujhe kamre ke ander hi jawab mil gaye
chhat ne ne kaha unche udeshya rakho
pankhe ne kaha thande se raho
ghadi ne kaha har minute kimti hai
shishe ne kaha, apne andar jhanko
Khidki ne kaha duniya ko dekh lo
calender ne kaha upto-date raho
Aur darwaje ne kaha apne lakshya ko
Paryapt rakhne ke liye poora zor lagao
Saare saato ke saat mere sath hi the,
Lakeerein bhi badi ajeeb hoti hai
mathe pe khinch jaye to kismat bana deti hai
Zameen pe khinch jaye to sarhadein bana deti hai
khaal pe khinch to khoon hi nikal deti hai
aur rishte pe kinch jaye to deewar bana deti hai
ek rupaiya ek lakh nahi hota, lekin Ek nikal do to lakh kuch nahi hota
Hum aap lakho dostome se ek hai, sambhal ke rakhna
Baki sab MOH_MAYA hai.