Na Hindu dekhiye na Musalmaan dekhiye,
In kaumi chaadaron ke andar ka insaan dekhiye.
Wo todte hain rishton ko jaat aur dharm ke naam par,
hum sunte hain mandir ki ghanti aur masjid ka azaan dekhiye.
Wo sekte hain rotiyan bekasooron ke khoon se,
Unke liye sabse sasti hai insaan ki jaan dekhiye.
Unki shay per hain naachte hum me se hi kuch ek log,
Jinhone nahi padha hai kabhi Geeta aur Quraan dekhiye.
Apne matlab k liye bechte hain desh ki ye aabroo,
Bekhauf bhi hain ye bech kar apna imaan dekhiye.
Apno ke chot dekh kuch kar guzarne ko hain taiyar hum,
Saamne wale ke bhi badan pe hain chot ke nishaan dekhiye.
Ab bhi waqt hai pehchaan lo in safedposhon ki asliyat,
Jo samajhte hain sirf voton ki zubaan dekhiye.
Wo kehte hain k thaher gaya hai hawa ka rukh ab,
Unhe kaun bataye k aane wala hai toofaan dekhiye.

Sahi h 😅
ReplyDelete